Header Ads

Always Search this site it is provide all infirmation like Digital,Jobs & smart knowledge article in website and read to go learn everything
  • Top Article

    Gmail ID se Android phone kee location kaise track kare


    hello friends kaise hai aap sabhi aap sabhi ka swagat hai. Disto kya aapka phone aapko nahi mil pa raha hai.  aap apne phone ko kahi par rakh kar bhool gaye, aapka phone kisi ke pass hai ya phone kisi ne chura liya. Aise waqt mai har koi sochta hai ki kaise mai apne phone ke bare pata karu ki mera phone kaha par kiske pass hai. 

    To aaj mai aapko is post mai batane ja raha hu ki gmail account  se kaise aap apne android phone kee location ko track kar sakte hai. Wo bhi kuch hi second  mai. Isse  jald se jald phone mil jayega. Aur sath hi ye bhi btaunga ki kaise goom hue phone ko secure kar sakte hai. To chaliye start karte hai or jante hai.

    Gmail ID se Android phone kee location kaise track kare 


    Phone kee location ko track karne se pahle jaante hai ki kin kin wajah se humara phone goom ho sakta hai.

    1. Aap apne phone ko kahi rakh kar bhool sakte hai.  Aise mai aapko pata nahi chal pata ki aapne phone ko kis jagah par rakha tha.

    2. Kahi jaate hue aapka phone aapke jaib se slip ho jata hai to aise mai aapko ya nahi pata lagta ki aapka phone kise pass hai.

    3. Aapka phone kisi chor ne chura liya. 
    Mukhya wajah to yahi ho sakte hai agar koi or wajah aapko pata hai to muje comment jaroor kre. 

    Phone kee location ko track karne ke liye mukhya baatey.

    1. Ek Gmail account / Gmail ID jiss no.  se bana hai wah pata hona chaiye.

    2. Phone android  jisme aapka gmail account open/log in hona chaiye

    3. Phone kho jaane ke baad wah tabhi mil sakta hai ya track kar sakte hai. Jab aapaka phone on/ chalu ho tabhi phone ke location ko track kar sakte hai.

    4. Apne phone kee location
    ko kisi dusre phone se track kar sakte hai. Kyunki aapka phone aapke pass nahi hai. 

    Main jankari
    Mukhya baat hai ki yaha se aap apne phone ko secure kar sakte hai.  Agar aapko lagta hai ki aapke phone mai important data para hua hai. Data ko lick hone se pahle hi aap use delete bhi kar sakte hai.

    Android phone ki location ko track/khoj kre step by step


    Step 1. Pahle kisi best browser jaise Chrome,  internet explorer ya Firefox ko le le or use open kre.

    Step 2: Browser ke search bar mai type karna hai.  Android manager or use searh karna hai.  Jaise hi searh hoga to kai sare option/ results dikhenge. Sabse pahle wale result par click karna hai.

    Step 3: First option par click karne ke baad ek gmail account ko log in karne ka box khulega jisme two options se log in kar sakte hai.  Gmail account / Phone no. jisse gmail account banaya hai. Next karna hai.  Fir password dal kar next par click karna hai.

    Step 4: Iss step mai jaise hi next par click karne ke baad Google Map ka page khulega jisme aapke phone ka location dikhega ki aapka phone kis jagah par hai.  Aur bhi bahut kuch aapko iss page dikhega jaise..

    1. Phone : Aapke phone ke bare mai batyega ki aapka phone kon se company ka hai aur aapke phone mai konse network ka sim hai.

    2. Aapka phone ka battery kitne persent  charge hai. yah sab aapko iss par batayega. 

    3. Is map par kuch aur bhi options dikhai de raha hoga. Jaise

    Play sound, Secure Device and Erase Device  yahi khass options  hai jisse phone secure kiya ja sakta hai.

    Step 5: iss step hum kuch khaas option ko detail se janenge .

    a)Play sound : play sound ka matlab hai ki jaise hi aap iss option par click krenge to aapka phone kahi bhi dunia ke kisi bhi kone mai kyo na ho aapka phone mai ringtone bajna start ho jayega yadi phone silent hai tab bhi. Isse agar aapka phone kahi par daba hua hai ya kahi rakh kar bhool jaate hai tab ya option kaam aata hai. Yah bahut accha option hai. Agar switched off hai to yah kaam nahi karega koi ringtone nahi bajega.

    b) Secure Device: Yah option bahut hi best hai or kaam layak hai.  Kyunki isse aap apne phone ko secure kar sakte hai. Pahle option se ringtone bajta hai or koi phone uthata hai to aap use iss option ke dwra message kar sakte hai. Aur use apna no dekar usse baat kar sakte hai. Mesage or no dene ke baad jaise hi secure device par click karenge to aapka phone locked  ho jayega. Or use koi nahi khol payega. 

    Or 

    Aapne jise message kia hai agar wah banda sahi hai to call back karega aur aaptak phone pahuchaega.

    C) Erase Device: Erase device ke option mai aap apne phone mai pare hue sabhi content data ko jo aapke phone para hua hai. Use yahi baithe erase device par click karke kar sakte hai.  Isse aapka jo data phone mai hoga delete ho jayega. Agar phone band hai to jaise hi open hoga to data delete hojega. Jisse aapke phone koi nahi lick kar payega.

    Dosto aapko iss post ko pura padhne ke baad acche se pata chal gaya hoga ki kaise aap apne phone kee location ko track kar sakte hai aur apne phone mai se sabhi data content ko erase karke secure kar sakte hai. yah post aapko kaisa laga aap muje comment karna na bhoole.  Ab aap phone ki location ko track karne ke liye tyaar hai.  Thank you Jai Hind. 

    No comments

    Post Top Ad

    Post Bottom Ad

    Powered by Blogger.